Mera December : My collection of shayaris on December
Mujh Se Poochte Hain Log
Kis Liye December Mein
Yun Udaas Rehta Hoon
Kis Liye December Mein
Yun Udaas Rehta Hoon
Koi Dukh Chupata Hoon
Yaa Kisi Ke Jane Ka
Sog Main Manata Hoon
Sardion Ke Mosam Mein
Garam Garam Coffee Ke
Chote Chote Sip Le Kar
Koi Mujh Se Kehta Tha
HaYe Is December Mein
Kis Bala Ki Sardi Hai
Kitna Thanda Mosam Hai
Kitni Yakh Hawayein Hain
Aap Bhi Ajab Shay Hain
Itni Sakht Sardi Mein
Ho Ke Itne Be Parwah
Jeans Aur T-Shirt Mein
Kis Maze Se Phirte Hain
Shaal Bhi Mujhe De Di
Coat Bhi Oorrha Dala
Phir Bhi Kaanpti Hoon Main
Chaliye Ab Sharafat Se
Pehan Lijiye Sweater
Aap Ke Liye Main Ne
Bun Liya Tha Do Din Mein
Kitna Maan Tha Uss Ko
Meri, Apni Chahat Par
Ab Bhi Har December Mein
Uss Ki Yaad Aati Hai
Kitni Mukhtalif Thi Wo
Sab Se Munfarid Thi Wo
Apni Aik Lagzish Se
Main Ne Kho Diya Uss Ko
Ab Bhi Har December Mein
Uss Ki Yaad Aati Hai.......!!!
***
han mujhay yaad hai..
bachpan ka vo december
thethertii daltii shamooN main
anghan ki devar se sarktii dhoop
jaltay huye koylooN ki
mehak
or meray phatay huye
galoOn pr
lakeerain bnatay,vo jamay
huye ansoo...
asman pr jamtii,vo
badlooN ki dhund dekh
kar
ammi ka darvazay pr
haray ho kar pokarana
or ham sabka matti
bharay khanchay shambal
kar
apnay apnay gharoon ko
bhagna............
raat bar chup chup kar
asmman ko dekh kar
barf girnay ki duaen karna
or phr subah phot.tay hi
sehan main ghrtii baraf k
gallon k sath
khud ko b ghalooN k sath
urtay mehsoos karna
phir tum aa gyen
or bachpan ka december
bet gya
tab pehroon ki
sarakti thandii dhoop
talay
main tumharii aik jhalak
dekhnay k liye
asmman se ghirtii baraf ki
chandnii
apnay vajood pr sajata
raha
zameen pr bechii iiss
chadar pr mere qadmmon
ka har nishhaN
tumharay ghar ki dehleez
tak hi jata raha
Phr vo december b beet
gya
or dekhooo.....
main ab b ghalii k usi
nukar pr kharahhon
thathartii dhaltii shaam b
haii pr sunehrii dhoop
nahii saraktii
waqt jaise tham sa gya hai
waqt k sitaray mere
ballon main chandni
bikhair to rahay hain
per,inhain bhego nahi
patay
ye kaise berfeeli shaam
hai
jis ki sardi mere ansoo
jama nahii patii
jaltay koylay ka dhuaaN
ankh to jalata hai
per iss main vo mehak
nahii haiior deko mere
ghar ka darwaza....
pat kholay khara to haiu
laikin
ammi ki daant na janay
kahan khoo gye???
tumharay ghar ki taraf
jatay sab hi rastay
iss qadar sunsaan kyun
paray hain
iss barfeeli shaam main
orr
meray bachpan k
december main
kitna farq haii........????
bachpan ka vo december
thethertii daltii shamooN main
anghan ki devar se sarktii dhoop
jaltay huye koylooN ki
mehak
or meray phatay huye
galoOn pr
lakeerain bnatay,vo jamay
huye ansoo...
asman pr jamtii,vo
badlooN ki dhund dekh
kar
ammi ka darvazay pr
haray ho kar pokarana
or ham sabka matti
bharay khanchay shambal
kar
apnay apnay gharoon ko
bhagna............
raat bar chup chup kar
asmman ko dekh kar
barf girnay ki duaen karna
or phr subah phot.tay hi
sehan main ghrtii baraf k
gallon k sath
khud ko b ghalooN k sath
urtay mehsoos karna
phir tum aa gyen
or bachpan ka december
bet gya
tab pehroon ki
sarakti thandii dhoop
talay
main tumharii aik jhalak
dekhnay k liye
asmman se ghirtii baraf ki
chandnii
apnay vajood pr sajata
raha
zameen pr bechii iiss
chadar pr mere qadmmon
ka har nishhaN
tumharay ghar ki dehleez
tak hi jata raha
Phr vo december b beet
gya
or dekhooo.....
main ab b ghalii k usi
nukar pr kharahhon
thathartii dhaltii shaam b
haii pr sunehrii dhoop
nahii saraktii
waqt jaise tham sa gya hai
waqt k sitaray mere
ballon main chandni
bikhair to rahay hain
per,inhain bhego nahi
patay
ye kaise berfeeli shaam
hai
jis ki sardi mere ansoo
jama nahii patii
jaltay koylay ka dhuaaN
ankh to jalata hai
per iss main vo mehak
nahii haiior deko mere
ghar ka darwaza....
pat kholay khara to haiu
laikin
ammi ki daant na janay
kahan khoo gye???
tumharay ghar ki taraf
jatay sab hi rastay
iss qadar sunsaan kyun
paray hain
iss barfeeli shaam main
orr
meray bachpan k
december main
kitna farq haii........????
***
December Ke Maheene Ka Woh Din Tha
Baras Guzre Kahin
Main Ne,Mohabbat, Lafz Likha Tha
Kisi Kagaz Ke Tukre Par!
Achanak Yaad Aaya Hai
Baras Guzre Kahin
Mujh Ko Kisi Se Baat Karni Thi
Usse Kehna Tha
Jaan-Ne- Jaan ! Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Magar Main Keh Nahin Paaya
Woh Kagaz Aaj Tak Lipta Para Hai Dhool Mein
Lekin
Kisi Ko De Nahin Paaya
Dobara Chah Kar Bhi Main Mohabbat Kar Nahin
Paaya ___!!
Baras Guzre Kahin
Main Ne,Mohabbat, Lafz Likha Tha
Kisi Kagaz Ke Tukre Par!
Achanak Yaad Aaya Hai
Baras Guzre Kahin
Mujh Ko Kisi Se Baat Karni Thi
Usse Kehna Tha
Jaan-Ne- Jaan ! Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Magar Main Keh Nahin Paaya
Woh Kagaz Aaj Tak Lipta Para Hai Dhool Mein
Lekin
Kisi Ko De Nahin Paaya
Dobara Chah Kar Bhi Main Mohabbat Kar Nahin
Paaya ___!!
***
December Laot Aaya Hai
Tumhaare Loat Aane Ki.
NaYi Ummeed Jaagi Hai
Abhi Pichhle Chand Baras Pehle Tum
Ne
Mere Seene Pe Sar Rakh Kar..
Haya Se Munh Chupaaya Tha..
Magar April Aane Tak..
Tumhaari Jheel Aankhoon Mein..
NaYa Sapna Samaaya Tha..
Mere Chote Se Aangan Mein…
Tumhain Veh’shat Si Hoti Thi..
Mujhe Tum Ne Bataaya Tha..
“Kisi Ki Qaid Mein Rehna…
Mujhe Acha Nahin Lagta..
Main Ik Aazaad Panchhi Hoon”
Suna Hai Phir Se Tanha Ho..
Septembar Ke Maheene Se..
Bohat Khaamosh Rehti Ho..
Ke Jis Ko Tum Ne Chaaha Tha..
Wafa Ke Naam Se Us Ko..
Bohat Veh’shat Si Hoti Thi..
“Wo Ik Aazaad Panchhi Tha..
Kisi Ki Qaid Main Rehna..
Usse Acha Na Lagta Tha…”
Suna Hai Mere Aangan Ki..
Tumhain Ab Yaad Aati Hai…
Suna Hai Tum Pa’shaymaan Ho…
Chalo Phir Aisa Karte Hain..
December Ka Maheena Hai…
Naya Aaghaaz Karte Hain…
December Loat Aaya Hai…
Suno Ab Loat Aao Tum ______!!
Tumhaare Loat Aane Ki.
NaYi Ummeed Jaagi Hai
Abhi Pichhle Chand Baras Pehle Tum
Ne
Mere Seene Pe Sar Rakh Kar..
Haya Se Munh Chupaaya Tha..
Magar April Aane Tak..
Tumhaari Jheel Aankhoon Mein..
NaYa Sapna Samaaya Tha..
Mere Chote Se Aangan Mein…
Tumhain Veh’shat Si Hoti Thi..
Mujhe Tum Ne Bataaya Tha..
“Kisi Ki Qaid Mein Rehna…
Mujhe Acha Nahin Lagta..
Main Ik Aazaad Panchhi Hoon”
Suna Hai Phir Se Tanha Ho..
Septembar Ke Maheene Se..
Bohat Khaamosh Rehti Ho..
Ke Jis Ko Tum Ne Chaaha Tha..
Wafa Ke Naam Se Us Ko..
Bohat Veh’shat Si Hoti Thi..
“Wo Ik Aazaad Panchhi Tha..
Kisi Ki Qaid Main Rehna..
Usse Acha Na Lagta Tha…”
Suna Hai Mere Aangan Ki..
Tumhain Ab Yaad Aati Hai…
Suna Hai Tum Pa’shaymaan Ho…
Chalo Phir Aisa Karte Hain..
December Ka Maheena Hai…
Naya Aaghaaz Karte Hain…
December Loat Aaya Hai…
Suno Ab Loat Aao Tum ______!!
***
December tu kyun aya hai,
Teri hi aik bheegi shab main,
Mujhse bicharrne waley ne,
Mujh se ehad kiya tha yeh,
December jab bhi aaya to,
Main bhi loat aaon ga,
Quhar main liptte huye din,
Aur bheegi huyi raatein,
Wassl ki khushbuu se,
Mehki rim jhim rim jhim barsaatein,
Main tere sangg bitaaon ga,
Koyelon ki aag jalaa kar,
Beth kar lihaafon main,
Hijar ke beetey lamhon ke,
Qisse tumhe sunaaon ga,
Ab tere tanhaa aane se,
Iss ke jhoote waade ne,
Mujh ko barra rulaya hai,
Jab woh nahin aaya to,
December, Tu kyun aaya hai..!?
Teri hi aik bheegi shab main,
Mujhse bicharrne waley ne,
Mujh se ehad kiya tha yeh,
December jab bhi aaya to,
Main bhi loat aaon ga,
Quhar main liptte huye din,
Aur bheegi huyi raatein,
Wassl ki khushbuu se,
Mehki rim jhim rim jhim barsaatein,
Main tere sangg bitaaon ga,
Koyelon ki aag jalaa kar,
Beth kar lihaafon main,
Hijar ke beetey lamhon ke,
Qisse tumhe sunaaon ga,
Ab tere tanhaa aane se,
Iss ke jhoote waade ne,
Mujh ko barra rulaya hai,
Jab woh nahin aaya to,
December, Tu kyun aaya hai..!?
Comments
Post a Comment